28/04/2012

Dil kee hey bas eik tamana


Dil kee hey bas eik tamana, Shehre Madina jana he x2
Pyare roze ke jalwo se, sheesha-e-dil chamkana hey

CHORUS: Dil kee hey bas eik tamana, Shehre Madina jana he

Mehfil-e-Naat saja te he jo, Dil se zikr ko suntey hai x2
Dozakh may na jayege woh, Jannat unka thikana hey

CHORUS

Deyta he Quran shahadat Rab ka he farman yahi x2
Ke Thamalo daman mere nabi ka, Khuld me jisko jana hey

CHORUS

Sooe Madine janey walo, Dil bhi mera le jaawo x2
Darbar-e- sarkar may apna, Adna sa nazrana hey

CHORUS

Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah Mere Aaka.... pyare Aka

Give me a chance to go to Madina, because there is no city like Madina x2
Very good madina, such a beautiful Madina x2
my choice is Madina, very very good madina.

CHORUS

Dam Dam yaad tere dil vich rehndiye, Rundiya akhiya te neen runda pendiye
Sare apne kaul boolale Madine walare ya, Sare Dil da roug mita de Madine wale ra

Dam Dam yaad tere dil vich rehndiye, Rundiya akhiya te neen runda pendiye
sanu sabz Gumba dikh la de x 2
Madine wale ra..

CHORUS

Kabr me jab Aeyge Farishtey, Kehde ge Sarkar Mere
Ke sone do araam se usko, Ye to mere dewaana hey

Mere Aka mere sultan


Mere Aka mere sultan Madine waley
Mere Aka mere sultan Madine waley x2
Tum pe so jaan se, Kurban Madine waley

Deykh kar aap ke Gumbad ka woh haseen manjar x2
Nikley dil ke sabhi, armaan Madine waley

Mere Aka mere sultan Madine waley

Zaire kabray munawar ki Shafat ho ghi, x2
Hay hayi aap ka, Farman Madine waley

Tum pe so jaan se, Kurban Madine waley.

Naat may likhta rahu, Naat fakat parta rahu x2
Ho hayhi zist ka, saman Madine waley.

Tum pe so jaan se, Kurban Madine waley.

Khidmat-e-Deen ke jazbe ko Salamat rakhna x2
Takey barta rahey, Imaan madine waley

Shakir-e-Razvi Akaa nigahey rehmat x2
Ye bechara he, pareshaan madine waley.

YA RASUL ALLAH KARAM


Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Qaram

Isyaan main duba sar basar, aamal naik hain sifar
Sadkey mein Ghoue e Pak kay, ker do karam ki eik nazar.

Ya Rasoulallah Karam, Ya Habeeballah Karam
Ya RasulAllah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tum ho Rasuloon kay Rasool dur houn rang o malool
Sadqay main Ghouse Pak kay, kerlo ghulamoon main qabool.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Allah kay ho tum habib, dono jahan kay ho tabib
Sadqey mein Ghous e Paak kay, ho rooh ko shifa naseeb.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Shaqeer e Razvi kay hazoor, houn maaf sab kay sub kasoor
Sadqey mein Ghous e Paak kay, dar’ein ka milay saroor.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Na kaheen say dur hain manzilein, na koi kareeb ki baat hai
Jisay chahein usko nawaz dein, yeah dar e habib ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya
Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin
Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Woh machal kay rah mein reh gayein, yeh tarap kay dar say lipat gayein
Woh kisi ameer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tujhay aie Munawar e bay nawa, dar e shah say chahiye aur kiya?
Joh naseeb ho kabhi samana, toh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

26/04/2012

Maida

"Wo log bila shuba kafir hen jo kehtay hen k Maryam kay Baitey

(Eesa Elay-Salam) Maseeh Khuda hein, halan k Masih Elay-Salam      

yahood say ye kaha kartey they k aiy Bani Israel ! ALLAH hi ki

ebadat karo jo mera b parwardigaar ha aur tumhara b aur jan

rakho jo shakhs ALLAH k sath shirk karey ga ALLAH us pr Behshat

ko haram kr day ga aur us ka thikana Dozikh ha aur zalimoun ka

koyi madadgar nahi"

[Al-Quran , Surat : Maida] ...♥

21/04/2012

SHAHE WALA


Shahe wala mujhe taiba bulalo, Shahe wala mujhe taiba bulalo,
Apna banalo mujhe apna bana lo, apna banalo mujhe apna banalo…
CHORUS

Taiba bulalo mujhe taiba bula lo, taiba bulalo mujhe taiba bula lo,

Apna banalo mujhe apna bana lo, apna banalo mujhe apna banalo
taiba bulalo mujhe taiba bula lo.

Doovri ka apne koota bana lo, kadmo se apne mujh ko lagalo

Jaldi se mujh ko taiba bulalo, jaldi bulalo mujhe jaldi bulalo
CHORUS

Sadke may, sadke may, sadke bulalo, furkat ke maro ko pyare jilalo

furkat ke maro ko pyare jolalo, Pyare jilalo mujhe pyare jilalo, moula jilalo mujhe aaka jilalo.
CHORUS

Duniya ke jhagro-se aksar chura kar, ghero kee oolfat ko dil se mita kar x2

Shahe wala mujhe apna banalo, apna banalo mujhe apna banalo.
CHORUS

Ankhon me aa, aaka dil me sama o, parda utha aka jalwa dikhawo

Hasrat jazo ki hasrat nikalo, hasrat nikalo meri hasrat nikalo.
CHORUS

Ye Noore mujhtar tera sana ghar, our iska ghar-bar ho hazir-e-dar x2

Apne sana ghar ko taiba bula lo, amno ama se hume taiba bula lo
CHORUS

JUMA KE DIN KI KASIYATH

Assalamualaikum o Rahamath Ullahi O Barakatahu
 Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa darja rakhta hai.
  Juma ke din ki koi ek neki ka ajar 70 guna bad kar milta hai.   


1. Juma ko gusal zaroor kare. 
Huzur sallallahu alaihi o sallam ne farmaya:-
"Jis shakhs ne JUMA ko

 (paak hone ke bawjood sirf sawaab ki niyat se)
 gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain"
Ek dusri hadees me hain ki 

"Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal phekta hai"

2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal DURROD IBRAHIM hai.

3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi padhe. Huzur saw ne farmaya ki "Ye namaz jo padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain." Aur JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.

4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye DUROOD 80 padhega "ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA" to uske 80 saal ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske aamaal-naame me likhi jaegi.