Allah jallajalalahu Quran paak me irshad farmata yah hai ki.:
Allah jallajalalahu tumara rab aur uske siva kisiki bandagi
nahi har chiz ka banane vala to use pujho jo waha har chiz
par nigaban hai .
(Kanzul iman,para:5 ruku:18)
Hazrath Umar bin khattab raziyallahu tala anhu se rivayath hi ki ek din ham rasoollulla sallallahu alaihi o sallam ki khidmath me hazir the, Aachanakh ek shakhs hamare samne aaya jiske kapade nihayath safed aur baal kale siyaah the, na uspar safar ki koyi alamath dikhayi deti thi aur na ham me se koyi use janta tha. Akhir o nabi e kareem sallallahu alaihi o sallam ke paas bait gaya aur usne ghutne huzur sallallahu alaihi o sallam ke ghutno se mila diye aur apne dono hath huzur sallallahu alaihi o sallam ke raano paar rakh diye , fir kahane laga: ye mohammed sallallahu alaihi o sallam muje iiman ke bare me batayi ‘e , nabi e kareem sallallahu alaihi o sallam ne farmaya: Islam yah hai ki tu gavahi de ki allah azza wa jal ke siva koyi maa’abud naahi aur mohammed (sallallahu alaihi o sallam) allah ke rasool hain aur tu namaz pade, zakath de, ramzan ke roze rakhe aur kabatulla ka haaj kare aagar tu uske raste ki istita’ath rakhta ho.
Usne kaha: app ne sach farmaya.(ravi kahate hain) hame iss par ta’ajub hua ki waah nabi e kareem sallallahu alaihi o sallam se sawal bhi karta hai aur fir uski tasdikh bi karta hai.
Fir usne kaha: muje Imaan ke bare me batayi ye. Rahamate alam sallallahu alaihi o sallam ne farmaya(Imaan yaah hai ki) allah ke farishton, usski kitabon, usske rasoolon aur aakhirath ke din par aur bhali buri takhdir ki tasdikh kare. Uss shakhs kaha: appne sach farmaya . fir ussne kaha ki muje ehsan ke bareme batayi’e,huzur sallallahu alaihi o sallam ne farmaya( ehsan yaah hai ki) tu allah tala ki eebadath iss tarah kare ki goya tu use dekh raha hai, agar tu usse dekh nahi sakhta to(kaam aaz kaam ithna khayal ho ki) who tuje dekh raha hai.
(muslim sharif:2/27)
Mere paire Aaka sallallahu alaihi o sallam ke paire divano. Mazkura hadis paak ki tashrih karte huye hazrath shaikh abdul haaq muhaddis dehalvi Rahamath ulla alai taharir farmate hain “Islam, zahari amal ka naam hai( maslan namaz padne, roza rakhne, zakath dene,wagairhum ka) aur Imaan naam hai Etikhade batin ka( maslan allah azza wazal aur uske paire rasool sallallahu alaihi o sallam ko dil se manne ka) aur Islam wo Imaan ke mazmuye ka naam din hai”.
No comments:
Post a Comment