"*Hazrat Maalik Ibne Dinaar Rehmatullah Aliah*" Ka Ek Baar Ek Dahariye(Naastik,Jo Kisi Ko Nahi Manta Ho) Se Munazara Huwa.Guftugu Badh Gayi.Baat Yehan Aakar Khatam Huwi Ki Is Dahariye Ka Hath Aur Hazrat Maalik Ibne Dinaar Ka Haath Dono Ke Haathon Ko Ek Saath Bandhkar Aag Me Daala Jaye Fhir Dekha Jaye Ki Aag Kis Haath Ko Jala Deti Hai Aur Kis Ka Hath Choad Deti Hai.Jiske Haath Ko Aag Chaod De Wah Sachha Hai,Jiske Haath Ko Jala De Woh Jhutha.Chunanche Dono Ke Haath Milakar Bandh Diye Gaye Aur aag Me Dale Gaye.Khuda Ki Qudrat Se Aisa Huwa ki Dono Me Se Kisi Ka Haath Na Jala Balki Aag Sard Ho Gayi Hai Aur Dono Bach Gaye.Hazrat Imaam Ibne Dinaar Rehmatullah Aliah Yeh Waqiya Dekhkar Bade Pareshan Huwe Aur Sazde Me Gir kar Munajat Ki Ki Ya Ilahi ! Yeh Kaisa Khissa Hai? Gaib Se Aawaaz Aayi Ki "AE MERE MAALIK! DAHARIYE KA HATH TERE HATH SE MILA HUWA BANDHA GAYA THA. JO CHEEZ TERE HAATH SE LAG JAYENGI HUM USE BHI NA JALAYENGE. DAHARIYE KA HAATH AGAR JALNE SE BACHA HAI TO TUMHARE HI HAATH KI BARKAT SE,TU APNA HAATH ALAG AUR USKA HATH ALAG ME DALO FHIR TAMASHA DEKHO. " Phir Chunache Dusri Baar Aisa Hi Kiya Gaya To Hazrat Maalik Aliah Rehma Ka Hath Mehfuz Raha Aur Dahariye Ka Hath Jal Gaya Aur Uska Jhutha Hona Jaaher Ho Gaya. •••TAJKIRTUL AULIYA SAFA 50•••
••SABAK••
Auliya Allah Ke Haath Me Haath Dene Se Aur Unki Muhabbat Rakhne Se Gunaghaar Nijaat Pa Jata Hai.Aur Allah Ne Isliye Farmaya Sacche Ke Saath Raho. “Allah Walon Ke Paas Jao To Allah Ke Liye Jao, Aur Wahan Se Allah Ko Saath Le Kar Aao”
"HAAT ME MERE HATH HAI TERA KITNI MILI KHAIRAT NA PUCHO
YE TO KARAM HAI AAPKA WARNA MUJHME TO AISE KOI BAAT NAHI HAI"
No comments:
Post a Comment