16/05/2012

Bachpan Ka Waqiya

Bismillahir Rahmaanir Raheem 
Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallim
Bachpan Ka Waqiya Hasan Basri Aliah Rehma Ka Bachpan Me Aapne Ek Din Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ke Pyale Ka Pani Pi Liya Aur Jab Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ne Pucha Ki Mere Pyale Ka Pani Kisne Piya Hai ?To Hazrat Umme Salma Radiallaho Anho Ne Kaha Hasan Ne.Yeh Sunkar Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ne Farmaya Usne Jitna Paani Mere Pyale Me Se Piya Hai Utna Hi Mera Ilm Usse Pachuch Gaya.

GEEBAT KA BADLA

Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Se Kisi Shaksh Ne Aakar Kaha Ki Fhala Shaksh Ne Aapki Geebat Ki Hai.Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Ne Usi Waqt Taza Chuaare Mangwaye Aur Ek Tabaak Me Rakhkar Unhe Bataur Tohfwa Bheja Ki Mai Aapka Shukrgujar Hu Ki Aapne Meri Geebat Karke Apne Nekiya Mere Naama E Amal Me Muntkil Kar Diya Hai.Aapke Is Ahesaan Ka Badla Mai Nahi Chuka Sakta.Yeh Haqeer Sa Tohfwa Qabul Farmayiye.Wah Shakhs Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Ke Paas Is Suluk Ko Dekhkar Bada Sharminda Huwa Aur Aapki Khidmat Me Haazir Hokar Maufi Chahi.

SABAK
 Kisi Ki Geebat Karne Se Sarasar apna Hi Nuksaan Hota Hai.Jiski Geebat Ki Jaye Wohi Faide Me Rehta Hai.Uski Nekiya Usko Mil Jati Hai.Lihaja Geebat Se Bachna Chahiye. Aur Ye Bhi Malum Huwa Ki Nek Bande Burai Ka Badla Burai Se Nahi Dete Balki Burai Ke Badle Bhi Neki Hi Karte Hai
 
 

No comments:

Post a Comment