16/05/2012

Ziyarat ke Bina Azan Me Lutf Nahi Aata


Pyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ke Vesal ke baad Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu
Madina ki galiyon me kahte phirte ke "Logon! tum ne kahin Pyyare AAQA ko dekha hai to mujhe
bhi dekha do" ye kah kar ke " ab Madina me mera rahna dushwar hai " SHAM ke Shahar HALAB me chale gaye.
taqreeban 6month ke bad Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ki Khwab me Ziyarat Naseeb hoi.
Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Farmaya.
ما ھذہ الجفوہ یا بلال اما ان لک ان تزورنی یا بلال Ay Bilal ! tu ne hume milna chod diya kiya humari Mulaqat ko tera ji nahi chahta?

Hazrat-e-Biala Radiyallahu Anhu khwab se Bedar hote hi Untni par sawar ho kar "LABBYK YA SAYYEDI YA RASOOLALLAH " kahte huye Madina Sharif ki taraf Rawana ho gaye.jab Madina me dakhil huye to sab se pahle Masjid-e-Nabvi me pahunch kar AAQA ko dhundna shuru kar diye.kabhi Masjid me Talash kiya aur kabhi Hujron me.jab AAQA ko nahi paye to Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ki QABR-e-ANWAR par sar rakh kar rona shuru kar diya aur arz ki Ya RASOOLALLAH aap ne Farmaya tha ke aakar mil jawo.Ghulam Halab se hazir hai ye kah kar behosh ho gaye.aur Mazar-e-Anwar ke pas gir pade.kaafi der bad hosh aaya.
itne me sare madine me khabar pahunchi ke Moazzin-e-Rasool Sallahu Alaihi Wasallam Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu aagaye hain.Madina Shareef ke Budhe,Jawan,Mard,Aurten aur bachhe Ekhatte ho gaye aur arz ki ke ek bar woh Azan suna do jo MAHBOOB-E-KHUDA ko sunate the.aap ne farmaya " mai nahi padh sakta kyu mai jab Azan padhta tha tu ASHHADU ANNA MOHAMMADAR RASULULLAH kahte waqt Pyyare AAQA ki Ziyarat hoti thi.pyyare AAQA ke Deedar se apni aankhon ko thandak pahunchata tha.ab kise dekhunga?" kuch SEHABA ne Mashverh diya ke HASNAIN KARIMAIN RADIYALLAHU ANHUMA se arz kiya jaye.jab woh BILAL ko Azan ke liye kahenge to woh inkar na kar sakenge.Ek ne ja kar SHAHZADON KO bula laye.Hazrat-e-Imam-e-Husain Radiyallahu Anhu ne Hazrat-e-Bilal ka hath ka pakad kar farmaya.
یا بلال رضی اللہ عنہ نشتہی ان نسمع
اذانک الذی کنت توذن لرسول اللہ
صلی اللہ علیہ وسلم فی المسجد

ابن عساکر Ay! Bilal hum aap se wahi Azan sunna chahte hain jo (humare NANA Jan) Rasoolullah Sallahu Alihi Wasallam ko Masjid me sunate the.

Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu inkar na kar paye is liye usi Maqam par khade ho kar Azan shuru ki jahan Pyyare AQQA SALLAHU ALAIHI WASALAM ke samne kahte the.baad ki halat Riwayat me is tarah aati hai.
فلما ان قال اللہ اکبر،اللہ اکبر ارتجت المدینۃ فلما ان قال اشھد ان لا الہ الااللہ اذ دادت فلما
ان قال اشھد ان محمدارسول اللہ خرج العوائق خدورھن وقالوا بعث رسول اللہ صلی اللہ
تعالی علیہ وسلم فما رئی یوم اکثر باکیا ولا باکیۃ بالمدینۃ بعد رسول اللہ صلی اللہ تعالی
علیہ وسلم من ذالک الیوم
ابن عساکر Jab AAP RADIYALLAHU ANHU ne buland aawaz se Azan ke Ibtedai Alfaz ALLAH O AKBR
,ALLAH O AKBR kahna shuru kiye to Madina wale SIskiyan le le kar rone lage.AAP RADIYALLAHU ANHU jaise jaise aage badhte gaye Jazbat me Izafa hota gaya jab اشھد ان محمدارسول اللہ SALLAHU ALAIHI WASALLAM ke words pe pahunche to tamam log yahan tak ke parda me rahne wali Auraten bhi gharon se bahar nikal aayen.sabhi ye sonchne lage jaise Pyyare AAQA Sallahu Alaihi Wasallam Tashreef le aaye hain.pyyare AAQA Sallahu Alaihi wasallam ke Vesal ke bad Madina walon par us din se badh kar Riqqat kabhi Tari nahi hoi.

No comments:

Post a Comment