18/05/2012

Jannat Ke 8 Darwazain Ka Naam

1.Daarul Maqaam,
2.Daarul Salaam,
3.Daarul Khuld,
4.Jannath Ul Aadan,
5.Jannath Ul Naim,
6.Jannath Ul Kasif,
7.Jannath Ul Firdous,
8. Jannath Ul Mava,
Allah Tala Se Dua Hai ki Qhayamath Ke Din Har Darvaze Se Ham Logn Ka Naam Pukara Jaye AMEEN SUMMA AMEEN

 

Aakhaid

1.Rasoolallah(sallalahu alaihiwasallam) Noor hai, Noorul bashar hai.
Quran Sharif: Beshak tumahare paas Allah ki taraf se ek Noor aaya Aur roshan kitab. (Surah Maida verse 15)
Is Ayat me “Noor” se muraad Huzoor (Sallalahoalaihi wasallam) ki Zaat-e-paak hai.[Tafseer ibn Abbas Pg.72 - Published Egypt]
Hadees sharif :
Hazrate Jabir RadiAllaho ta’ala ne Huzoor (alaihisallaam) se jab poocha ke ...

Aye Musalman Tumhare Liye Kuffar Ke Tariko Me Kamyabi Nahi Hai.

Al Quran : beshaq tumhare liye ALLAH ke RASOOL sallallaho alayhi wasallam ki zindagi ek behtar namoona hai.
(Surah Al-Ahzaab : aayat-21)
Mafhome hadees : Ibne Umar radiallahu ta'ala anhu se riwayat hai ki jis ne jis qaum ke sath musha'behat ikhtiyar ki to wo(qayamat ke din) unhi mein se hoga.
(Abu Dawood : hadees-4031)

Kayenaate Sukhan Me

Kayenaate Sukhan Me Rehte Hai
Jo Raza Ke Chaman Me Rehte Hai

Aala Hazrat Ke Jo Bhi Bagi Hai
Wo Hamesa Ghutan Me Rehte Hai

Aala Hazrat Kaha Hai Mat Pucho
Rooh Banke Badan Me Rehte Hai

Dil He Dil Me Wo Khood K Mar Jaye
Jo Raza Ki Khoodan Me Rehte Hai

Jo Raza Wale Hai Wo Marker Bhi
Muskurate Kafan Me Rehte Hai

Uski Kismat Ka Puchna Kya Hai
Jo Raza Ke Watan Me Rehte Hai

Han Owais Raza Hai Barellvi Shayer
Aap Kyu Ker Jalan Me Rehte Hai

Kayenaate Sukhan Me Rehte Hai
Jo Raza Ke Chaman Me Rehte Hai

Friday Jumah Prayer:

Hadrat Salman Radi Allahu Ta'ala Anhu reported that the Messenger of Allah has said,
لا يغتسل رجل يوم الجمعة ، ويتطهر ما استطاع من طهر ، ويدهن من دهنه ، أو يمس من طيب بيته ثم يخرج ، فلا يفرق بين اثنين ، ثم يصلى ما كتب له ، ثم ينصت إذا تكلم الإمام ، إلا غفر له ما بينه وبين الجمعة الأخرى
“If a man takes bath on Friday; purifies himself as much as he can with ablution, applies oil from his oils, or uses any available perfume(Itr) in his house, then goes out and, without squeezing between two men, prays what is prescribed for him, then remains silent when the Imam speaks (delivers sermon) his (minor) sins between that time and the next Friday will be forgiven.”
[Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 121, Book on the Friday Prayer]

17/05/2012

SALAM KARNA.....

1: Sab se pehla haq musalman ka musalman par ye hey k woh salam kare.
2: Salam karne se mohabbat barhti hey or nafrat khatam hoti hey.
3: Salam karne se Gunah mitte hen or nekiya barhti hen.
4: Jo musalman salam k sath musafah karta hey to dono k gunah is tarha jhar jate hen k jese sukhe darakht k patte jhar jate hen..
5: Agar koi kisi se kitna he naraz kyoo na ho agar 1 dafa khuloos e dil se salam kya jaye to apas men mohabbat or ulfat ka rishta phir se qaim hojata hey.. Khud Allah Tala ne Quran men farmaya: "Jab tum gharo me dakhil ho to apne logo ko salam karo ye 1 babarkat pakeeza Dua hey Allah Tala ki taraf se. Allah Tala ishe tarha nishaniya bayan karta hey take tum samjho".. (Sure Al Noor).

1 or Hadees me hey k Hazrat Abdurrehman bin shabal Bayan karte hen k Nabi Kareem (sallallahoalehewasallam) ne farmaya ! Jis ne salam ka jawab diya to us ka ajar us he k liye hey. or jo salam ka jawab na dey woh hum men sey nahi hey"..

HAATH ME HAATH

"*Hazrat Maalik Ibne Dinaar Rehmatullah Aliah*" Ka Ek Baar Ek Dahariye(Naastik,Jo Kisi Ko Nahi Manta Ho) Se Munazara Huwa.Guftugu Badh Gayi.Baat Yehan Aakar Khatam Huwi Ki Is Dahariye Ka Hath Aur Hazrat Maalik Ibne Dinaar Ka Haath Dono Ke Haathon Ko Ek Saath Bandhkar Aag Me Daala Jaye Fhir Dekha Jaye Ki Aag Kis Haath Ko Jala Deti Hai Aur Kis Ka Hath Choad Deti Hai.Jiske Haath Ko Aag Chaod De Wah Sachha Hai,Jiske Haath Ko Jala De Woh Jhutha.Chunanche Dono Ke Haath Milakar Bandh Diye Gaye Aur aag Me Dale Gaye.Khuda Ki Qudrat Se Aisa Huwa ki Dono Me Se Kisi Ka Haath Na Jala Balki Aag Sard Ho Gayi Hai Aur Dono Bach Gaye.Hazrat Imaam Ibne Dinaar Rehmatullah Aliah Yeh Waqiya Dekhkar Bade Pareshan Huwe Aur Sazde Me Gir kar Munajat Ki Ki Ya Ilahi ! Yeh Kaisa Khissa Hai? Gaib Se Aawaaz Aayi Ki "AE MERE MAALIK! DAHARIYE KA HATH TERE HATH SE MILA HUWA BANDHA GAYA THA. JO CHEEZ TERE HAATH SE LAG JAYENGI HUM USE BHI NA JALAYENGE. DAHARIYE KA HAATH AGAR JALNE SE BACHA HAI TO TUMHARE HI HAATH KI BARKAT SE,TU APNA HAATH ALAG AUR USKA HATH ALAG ME DALO FHIR TAMASHA DEKHO. " Phir Chunache Dusri Baar Aisa Hi Kiya Gaya To Hazrat Maalik Aliah Rehma Ka Hath Mehfuz Raha Aur Dahariye Ka Hath Jal Gaya Aur Uska Jhutha Hona Jaaher Ho Gaya. •••TAJKIRTUL AULIYA SAFA 50•••

••SABAK••
 Auliya Allah Ke Haath Me Haath Dene Se Aur Unki Muhabbat Rakhne Se Gunaghaar Nijaat Pa Jata Hai.Aur Allah Ne Isliye Farmaya Sacche Ke Saath Raho. “Allah Walon Ke Paas Jao To Allah Ke Liye Jao, Aur Wahan Se Allah Ko Saath Le Kar Aao”

"HAAT ME MERE HATH HAI TERA KITNI MILI KHAIRAT NA PUCHO
YE TO KARAM HAI AAPKA WARNA MUJHME TO AISE KOI BAAT NAHI HAI"

AAYAT-Ul-KURSI KI FAZEELAT:

Jab ghar se Jaate waqt padho to 70,000 farishtey har taraf se aapki hifazat karenge.

Jab ghar me dakhil hote waqt padho to aap ke ghar se mohtaji(gurbat) dur ho jaigi.

jab wazu k bad padho to aapke 70 darje buland honge.

Aur agar Raat ko sote waqt padho to 1 farishta sari Raat aap ki hifazat karega.

Aur agar Farz namaz k bad padho to marne k bad aapka 1 pair zameen par & dusra jannat me hoga.

16/05/2012

ALI RAZIYALLAHU TALA ANHU

Narrated Ali: While the Prophet (peace be upon him) was in a funeral procession, he picked up something and started scraping the ground with it, and said, “There is none among you but has his place written for him either in the Hell Fire or in Paradise.” They said, “O Allah’s Apostle! Shall we not depend upon what has been written for us and give up deeds?” He said, “Carry on doing (good) deeds, for everybody will find easy to do such deeds as will lead him to his destined place for which he has been created. So he who is destined to be among the happy (in the Hereafter), will find it easy to do the deeds characteristic of such people, while he who is destined to be among the miserable ones, will find it easy to do the deeds characteristic of such people.” Then he recited:
“As for him who gives (in charity) and fears Allah, and believes in the best…” (92.5-10)

Sahih Al-Bukhari – Book 60 Hadith 474

PARDA

PARDA @01 1> Dunya Me Bahut Si Kitaben Hen
Lekin Ghilaf Sirf QUR'AN Paak Ko Charhaya Jaata Hy

2> Dunya Me Buhat Imaarten Hen Lekin Sirf Khana
Ka'ba Ko Dhanpa Jaata Hy

3> Dunya Me Buhat
Qabren Hen Lekin Sirf Wali Ki Qabar Par Chaadar
Daali Jaati Hy

4> Dunya Me Buhat Ta'daad Me Aurten Hen Lekin Parda Sirf Muslim Aurten Hi Karti
Hen... Kyunke Izzat Ki Cheez Ko Hamesha Dhaanpa
Jaata
Hy....

PARDA @02 KA'BA Par Ghilaaf IsLye K Ye Koi
Aam Cheez Nahi Musalmano Ka QiBLA Hy QUR'AN
Par Ghilaaf IsLye K Ye Koi Aam KiTAAB Nahi KiTAABuLLAH Hy MAZAAR Par Chaadar IsLye K Ye
Koi Aam QABAR Nahi ALLAH Ke WALi Ki Hy IsLye
AuraT Ko Pardy Ka Hukam Hy TaaKe MALUM Ho K Ye
Koi Aam AURAT Nahi MUSLiM AURAT H

PARDA @03 Madani Aaqa
Alahissalatuwassalam Ka Farmaan e Ibrat; "3
Shakhs Jannat Mein Dakhil Na Honge 1. Daiyoos 2.
Mardani Waza Bananay Wali Aurat 3. Sharab Ka
Aadi" (Majma Zawaid V4 P#599 H#7722)
Jo Log Bawajud e Qudrat Apni Aurton Ko Be-Pardagi Sy Mana Na Karen Wo DAIYYOOS Hen "DAIYOOS Wo
Shaks Hy Jo Apni Biwi Par Gairat Na
Khaye" (Durre Mukhtar V2 P#113) "DAIYOOS Faasiq
Hy Aur Fasiq Ke Peechay Namaz Makrooh e Tahrimi
Hy" (Fatawa Razavia V6 P#573)

PARDA @04 Maloom Hua Ke Jo Bawajud e Qudrat Apni Zouja (Biwi), Maan, Behnon, Aur Jawan Betiyon Wagera
Ko Galyon, Bazaron, Shopping Centers, Aur
Makhloot Tafreeh Gahon Men Be-Parda Ghoomne
Phirney, Ajnabi Paroosiyon, Na-Mehram
Rishtedaron, Gair Mehram Mulazimon,
Chowkidaron, Aur Driveron Sy Be-Takallufi Aur Be- Pardagi Sey Mana Na Karne Walay Hen, Wo
DAIYYOOS Jannat Se Mehroom Aur Jahannum Ke
Haqdaar Hen.

PARDA @05 Aurat Agar Aisa Chust
Libas Pehny K Jism Ki Heyiat
Zahir Ho To Haram Magar Shetan Ki Makkari Ke Us
Ny Burqey Ke Naam Par Aurat Ko Ye Libas Pehna Dya

PARDA @07 #Peer Aur Mureeda Ke
Darmaiyan Parda# Aalahazrat Imam Ahmed Raza
Fazil Barelvi
Rehmatullah Alaih Farmatey Hen! "Beshak Har Gair
Mehram Se Parda Farz He Jiska
ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He. Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata,
Un Se Bhi Parda Laazim He" (Masail e Sima'a P#32)

PARDA @09 "Jo Aurat Nange Sar (Head) Ghar Sey
Baahar Jaye
Aur Gair Mardon Ki Nazar Us Aurat Pe Parey, Usky
Saath 3 Aadmi Jahannum My Jaayengy 1> Uska Baap 2> Uska Shohar 3> Uska Bhai Forward This
Msg to All People,And Protect Our Daughter, Wife,
Mother And Sisters So ALLAH Will Protect Us From
Hell

PARDA @08 #Aurton Ko Chehrey Ke Parda Ka
Bhi Hukum Hey# Chuna Chey Irshad e Baari Ta'ala
Hey; Al-Qur'an; "Aye Nabi (Sallalahu Alaihi Wasallam) Apni Biwiyon Aur
Betiyon Aur Musalman Aurton Sy Farma Do Ke Apni
Chaadaron Ka Ek Hissa Apne Moun Par
Daaley Rakhen" (Surah e Ahzaab Ayat#59)

PARDA@10 #Har Haal Men Parda# Hazrat Syyedatuna
Umme Khalid (RadiyALLAHu Anhaa) Ka Beta Jang Men Shaheed Ho Gaya. Aap Inke Baarey Men
Malumaat Haasil Karny Ke Lye
Naqaab Daaley Baa Parda Baargah e Risalat
(Sallallahu alaihi wasallam) Me Haazir Huyeen Is Par
Kisi Ne Hairat Sey Kaha; "Is Waqt Bhi Aap Ney
Naqaab Daal Rakha Hey" Kehny Lageen; "Me Ney Beta Zarur Khoya Hey, HAYAA Nahi Khoyi" (Sunan
Abi Dawood V3 P#09, H#2488)

PARDA @11 Hazrat
JUNAID BAGHDADI Se Poocha Gaya; Kya Koi MARD
Kisi LARKI Ko Parha Sakta He? Aapne Farmaya; Agar
Parhane Wala BAYAZID BUSTAMI Hon Parhne Wali
RABIA BASRI Hon Jis Jaga Parhaya Ja Raha He Wo BAiTULLAH Ho Jo Kuch Parhaya Jaaye Wo
KALAAMULLAH Ho . . . . . . . . . . . Phir Bhi Ijazat Nahi

PARDA @12 Bad Aqida Deobandi Tanzeem Ka Ek
Agenda Ye Bhi
Tha K Wo Khawateen Ko Jabran Parda Karwate
They Magar Mash'hoor Deobandi Singer Junaid Jamshaed Geo T.V Par Apne Programe ALIF LAAM
MEEM Mein Be-Parda Auraton Se ISLAMI Suwal
Jawab
Karta Hy Is Par Aaj Ke Deo Bandi Kyun Khamosh
Hen ?? Fwd 2 All

PARDA @13 #Bhaabi Sey Parda#
Uqba Bin Aamir RadiyALLAHu Anhu Marwi Hen Ke Paikar e Sharm o Hayaa Sarkar e Do Aalam
Sallallahu Alahi Wasallam Ne Farmaya; "Aurton Ke
Paas Janay Sy Bacho" Arz Ki Gayi; YA
RASOOLALLAH! Dewar Ke Muta'alliq Kya Hukum Hy?
Farmaya; "DEWAR Mout Hey" (Bukhari V3 P#472,
H#5232)

PARDA @14 Be-Pardagi ka Aalam Me Kya Bataun Haaye! Zehrila Saanp He Ye Ummat Ko Dass
Na Jaaye.. Har Simt Dekh Lo Ab Uryani, Be_Hayaai
Ghairo Sy Hy Muhabbat Apno Sy Bewafayi Behno
Ke Mashghalo Sy Bhai Bhi Be_Khabar Hen Poochen
To Kis Tarah Wo Jab Khud Idhar Udhar Hen Beti Bhi
LaadLi Hey, Parda Karey To Kesey? Aangan Mey Apne Ghar Ke, Jee Ko Bharey To Kesey? Ye SOCH
Hey Maghrib Ki, Aur Kaam Himaaqat Key Lo Ho Gaye
Numaayan Aasaar Qayamat Ke...

PARDA @15 #Be
Pardagi Ke Nuqsaanaat# 1> Aurat Jab Chehry Aur
Jism Ko Be-Pardah Rakhey
To Dosron Ko Fitny Me Daalti Hy Kyunke Usey Phir Ahtemaam Karna Parta Hy Ke
Uska Chehra Dilkash Dikhayi Dey. 2> Is Aadat Sy
Aurat Ke Zameer Sy Rafta Rafta
Sharm o Hayaa Jaati Rehti He Jo Imaan Ka Lazmi
Hissa Hy 3> Koi Mard Kisi Gair Aurat Ko Maa, Behen
Ka Darja Kabhi Nahi Dy Sakta, Na Islam Me Iska Koi Tasawwur Hy Ye To Bus Dil Ko Tasalli Dene Wali
Baaten Hoti Hen

PARDA @16 Baaz Log Kehty Hen Ke
Parda To Dil Aur Aankhon Ka Hota Hy. Insan Ka Dil
Saaf Aur Nigahun Me Sharam Honi Chahye. Un Se
ARZ He Ke Chalo Maan Lya Ke Wo Apny Dil Ko To
Jaanty Hen Magar Dekhny Waly Ki Aankhon Aur Niyyat Ko
Kesy Rok Sakte Hen? Jab Hukum e Rabbi Mojud Hey
To Hum Bahaney Kyun Talaash Karen? Umhaat ul
Momineen Se Zyada Koun Sharm o Hayaa
Wala Hoga? Magar Unhon Ne Bi ALLAH Ke Hukum Ki
Ta'meel Ki. Ye PARDA To ALLAH Ke Ina'maat Se Hy.

PARDA @17 #HiJAAB Ke Fawaaid# Parda Aisa
Sharyi Hukum Hy Jis Me Deen o Dunya
Ka Fayda Hy > Baa-Pardah Aurat Apny Rabb Sy
Zyada Qareeb
Hy Aur Uski Hifazat Me Hy

<<< PARDA >>> > Insan
Numa Darindo Ki Taiz Nazron Sy Bachata Hy > Aurat Ke Lye Afzal Tareen A'maal Me Sy Hy > Naswani
Husn Ka Muhafiz Hy > Aurat Ki Fitrat e Hayaa Ka
Taqaza Hy > Shaitan Aur Iske Aala Karon Se Bachao
Ka Zarya
Hy > Taqwey Ka Libaas,Izzat Ka Tamga, Aur Hayaa
Ki Daleel Hy

PARDA @18 Be-Parda Aurat Ki Misal Gulab Ke Phool Ki Tarah Hy Aur Baa-Pardah Aurat Ki
Misal Kali Ki Tarha Hy Aadat e Insani Hy Ke Wo
Kabhi Kali Nahi Torta Bulke Phool Ko Torta Hy,
Soonghta Hy, Kuch Dair Baad Jab Dil Bhar Jata Hy To
Masalta Hy Ya Phenk Deta Hy Ab Aurat Ki Marzi
PHOOL Baney Ya KALI

JAZAAK'ALLAH KHAIRAH

Ziyarat ke Bina Azan Me Lutf Nahi Aata


Pyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ke Vesal ke baad Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu
Madina ki galiyon me kahte phirte ke "Logon! tum ne kahin Pyyare AAQA ko dekha hai to mujhe
bhi dekha do" ye kah kar ke " ab Madina me mera rahna dushwar hai " SHAM ke Shahar HALAB me chale gaye.
taqreeban 6month ke bad Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ki Khwab me Ziyarat Naseeb hoi.
Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Farmaya.
ما ھذہ الجفوہ یا بلال اما ان لک ان تزورنی یا بلال Ay Bilal ! tu ne hume milna chod diya kiya humari Mulaqat ko tera ji nahi chahta?

Hazrat-e-Biala Radiyallahu Anhu khwab se Bedar hote hi Untni par sawar ho kar "LABBYK YA SAYYEDI YA RASOOLALLAH " kahte huye Madina Sharif ki taraf Rawana ho gaye.jab Madina me dakhil huye to sab se pahle Masjid-e-Nabvi me pahunch kar AAQA ko dhundna shuru kar diye.kabhi Masjid me Talash kiya aur kabhi Hujron me.jab AAQA ko nahi paye to Pyyare AAQA SALLAHU ALAIHI WASALLAM ki QABR-e-ANWAR par sar rakh kar rona shuru kar diya aur arz ki Ya RASOOLALLAH aap ne Farmaya tha ke aakar mil jawo.Ghulam Halab se hazir hai ye kah kar behosh ho gaye.aur Mazar-e-Anwar ke pas gir pade.kaafi der bad hosh aaya.
itne me sare madine me khabar pahunchi ke Moazzin-e-Rasool Sallahu Alaihi Wasallam Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu aagaye hain.Madina Shareef ke Budhe,Jawan,Mard,Aurten aur bachhe Ekhatte ho gaye aur arz ki ke ek bar woh Azan suna do jo MAHBOOB-E-KHUDA ko sunate the.aap ne farmaya " mai nahi padh sakta kyu mai jab Azan padhta tha tu ASHHADU ANNA MOHAMMADAR RASULULLAH kahte waqt Pyyare AAQA ki Ziyarat hoti thi.pyyare AAQA ke Deedar se apni aankhon ko thandak pahunchata tha.ab kise dekhunga?" kuch SEHABA ne Mashverh diya ke HASNAIN KARIMAIN RADIYALLAHU ANHUMA se arz kiya jaye.jab woh BILAL ko Azan ke liye kahenge to woh inkar na kar sakenge.Ek ne ja kar SHAHZADON KO bula laye.Hazrat-e-Imam-e-Husain Radiyallahu Anhu ne Hazrat-e-Bilal ka hath ka pakad kar farmaya.
یا بلال رضی اللہ عنہ نشتہی ان نسمع
اذانک الذی کنت توذن لرسول اللہ
صلی اللہ علیہ وسلم فی المسجد

ابن عساکر Ay! Bilal hum aap se wahi Azan sunna chahte hain jo (humare NANA Jan) Rasoolullah Sallahu Alihi Wasallam ko Masjid me sunate the.

Hazrat-e-Bilal radiyallahu Anhu inkar na kar paye is liye usi Maqam par khade ho kar Azan shuru ki jahan Pyyare AQQA SALLAHU ALAIHI WASALAM ke samne kahte the.baad ki halat Riwayat me is tarah aati hai.
فلما ان قال اللہ اکبر،اللہ اکبر ارتجت المدینۃ فلما ان قال اشھد ان لا الہ الااللہ اذ دادت فلما
ان قال اشھد ان محمدارسول اللہ خرج العوائق خدورھن وقالوا بعث رسول اللہ صلی اللہ
تعالی علیہ وسلم فما رئی یوم اکثر باکیا ولا باکیۃ بالمدینۃ بعد رسول اللہ صلی اللہ تعالی
علیہ وسلم من ذالک الیوم
ابن عساکر Jab AAP RADIYALLAHU ANHU ne buland aawaz se Azan ke Ibtedai Alfaz ALLAH O AKBR
,ALLAH O AKBR kahna shuru kiye to Madina wale SIskiyan le le kar rone lage.AAP RADIYALLAHU ANHU jaise jaise aage badhte gaye Jazbat me Izafa hota gaya jab اشھد ان محمدارسول اللہ SALLAHU ALAIHI WASALLAM ke words pe pahunche to tamam log yahan tak ke parda me rahne wali Auraten bhi gharon se bahar nikal aayen.sabhi ye sonchne lage jaise Pyyare AAQA Sallahu Alaihi Wasallam Tashreef le aaye hain.pyyare AAQA Sallahu Alaihi wasallam ke Vesal ke bad Madina walon par us din se badh kar Riqqat kabhi Tari nahi hoi.

Bachpan Ka Waqiya

Bismillahir Rahmaanir Raheem 
Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallim
Bachpan Ka Waqiya Hasan Basri Aliah Rehma Ka Bachpan Me Aapne Ek Din Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ke Pyale Ka Pani Pi Liya Aur Jab Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ne Pucha Ki Mere Pyale Ka Pani Kisne Piya Hai ?To Hazrat Umme Salma Radiallaho Anho Ne Kaha Hasan Ne.Yeh Sunkar Huzoor Sallalaho Aliah Wassalam Ne Farmaya Usne Jitna Paani Mere Pyale Me Se Piya Hai Utna Hi Mera Ilm Usse Pachuch Gaya.

GEEBAT KA BADLA

Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Se Kisi Shaksh Ne Aakar Kaha Ki Fhala Shaksh Ne Aapki Geebat Ki Hai.Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Ne Usi Waqt Taza Chuaare Mangwaye Aur Ek Tabaak Me Rakhkar Unhe Bataur Tohfwa Bheja Ki Mai Aapka Shukrgujar Hu Ki Aapne Meri Geebat Karke Apne Nekiya Mere Naama E Amal Me Muntkil Kar Diya Hai.Aapke Is Ahesaan Ka Badla Mai Nahi Chuka Sakta.Yeh Haqeer Sa Tohfwa Qabul Farmayiye.Wah Shakhs Hazrat Hasan Basri Aliah Rehma Ke Paas Is Suluk Ko Dekhkar Bada Sharminda Huwa Aur Aapki Khidmat Me Haazir Hokar Maufi Chahi.

SABAK
 Kisi Ki Geebat Karne Se Sarasar apna Hi Nuksaan Hota Hai.Jiski Geebat Ki Jaye Wohi Faide Me Rehta Hai.Uski Nekiya Usko Mil Jati Hai.Lihaja Geebat Se Bachna Chahiye. Aur Ye Bhi Malum Huwa Ki Nek Bande Burai Ka Badla Burai Se Nahi Dete Balki Burai Ke Badle Bhi Neki Hi Karte Hai
 
 

Apne Dar Pe Bula Leeji E

Apne dar pe bula leejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi,
Hum ko apna bana leejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Aarazu bas ye seene me he, arz-e-taiba me madfan mille,
Mujhko do gazz zameen deejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Lab pe he ye mere dam ba dam, mera nikle Madine me dam,
Karam itna zara keejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Sabz Gumbad ke saa-e tale, teri rahmat ka saya mille,
Meri kismat jagaa deejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Mujhko mehshar me Shah-e-Zaman, ho ataa saya e panjtan,
Puuri ye iltija keejiye Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Aasi Mohsin ki he ye sadaa, maaf keeje meri har khata,
Mujhko lillah nibaa leejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Apne dar pe bulaa leejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi,
Hum ko apna banaa leejiye, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Momin Ki Shaan

Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wa’Sallam Ne Farmaya:
“Beshak Jab Momin Ka Inteqaal Hota Hai, Toh Qabrastaan Apne
Aapko Sajaa Leta Hai, Aur Usmein Ka Koyi Hissa Aaisa Nahi Hota,
Jo Yeh Tammanna Na Karta Ho Ke Yeh Mujh Mein Dafan Ho” Aur

Ibne Abbas (Radiallahuanhu) Farmate Hai Ke:
“Momin Ke Marne Par 40 Din Tak Zameen Rotee Hai”
(Tirmizi Sharif)

Roz Wohi Ek Koshish:

 Roz Wohi Ek Koshish Zinda Rehne Ki Marne Ki Bhi Tayyari Kiya Karo..
 Maut ki godi me sab sona hoga,
Na koi takhiya na koi bichhona hoga,                    
Hum honge bus hamare aamal honge,
Aur qabrastan ka ek chhota sa kona hoga,                             


 KASH MAIN NAEK BAN JAUN

13/05/2012

* IMAM SHAFAI * Radiallahutala Anhu


‎* IMAM SHAFAI * (radiallahutala anhu)
*Abū ʿAbdullāh Muhammad ibn Idrīs al-Shāfi‘ī *

He was born in Gaza in the town of Asqalan and moved to Mecca when he was about two years old. He is reported to have studied under Muslim Ibn Khalid az-Zanji, the Mufti of Mecca at his time and is considered the first teacher of Imam ash-Shafi'i


During his youth he excelled in 2 activities: acquisition of deeni ilm and archery. By the age of 7 Imam Shafi’ee had memorised the Qur’an and at ten years of age he had committed the Mu’atta of Imam Malik to memory


At the age of 13 with his mother’s permission Imam Shafi’ee departed Makkah arrived in Madinah at the door of Imam Malik.

Teachers

His uncle, Muhammed Ibn Ali Ibn Shafi’ee                                                          
Imam Malik
Imam Muhammad ibnul Hassan Shaybanee
Imam Waqee’

Imam Sufyan ibn Uyaynah 

Imam Shafi’ee is reported to have written over 150 books.

Imam Shafi’ee was an expert in both Hanafi and Maliki fiqh. 
From which came about the Shafi’ee fiqh, which was spread by his students.

He is a great role model, for both men and women. 
Never did he speak a lie, and his hands reached out to the poor generously.

Imam Muhammad said about him: The door of Fiqh was shut to the people, Allah opened it because of Shafi’ee.

He was appointed as a judge in Najran in the time of Harun ar-Rashid. Sunnis portray that his devotion to justice, even when it meant criticizing the governor, caused him some problems, and he was taken before the Caliph, falsely accused of aiding the Alawis in a revolt. al-Shaybānī was the chief justice at the time, and his defense of ash-Shafi'i, coupled with ash-Shafi'i’s own eloquent defense, convinced Harun ar-Rashid to dismiss the charge, and he directed al-Shaybānī to take ash-Shafi'i to Baghdad. He was also a staunch critic of Al-Waqidi's writings on Sirah.
He died in Cairo, Egypt, on FRIDAY evening after Maghrib, in RAJAB, 204 A.H. after a short illness at the age of 54 years

Nabi Alyhi Salam *Sallallahu Alaihi O Sallam* Ne Farmaya:

Nabi Alyhe salam ne farmaya: Kiya Me tumko esay log na bataon jo na Nabi honge aur na Shaheed, Lekin unko Allah ke han itna uncha maqam milega ke qiyamat ke din Nabi & Shaheed bhi unko dekh ker khush honge aur wo noor ke khas mimbaron per honge aur pehchane jaengay. Sahabah ne pucha: Wo kon log honge? AAP ne farmaya: Ye wo log honge jo Allah ke bando ko Allah ka mahbub banatay hen aur Allah ko Uske bando ka mahbub banatay hain aur logo ke kher khwah bun ker zamin per phirtay hen. Hazrat Anas ne pucha: Wo Allah ke bando ko Allah ka mahbub kese banaengay? AAP ne farmaya: Ye log Allah ke bando ko un kaamo ka hukum dengay jo Allah ko pasand hen aur un kaamo se rokengay jo Allah ko pasand nahi hen, Wo banday jab unki baat maan ker Allah ke pasandida kaam karne lag jaen to ye banday Allah ke mahbub bun jaengay. (HAYAT-US-SAHABAH 805/2)

Dua

SALLAL LAHO ALA MOHAMMAD SALLAL LAHO ALAIHE WASALLAM.

YA ALLAH hum sab


gunahgar hain....


Badkar hain....


Siyakar hain....


YA ALLAH hamare gunah itne hain k hum ko us ka andaza nahi,
YA ALLAH hum jhoot bol kar karobar kar rahe hain jo bahut bada gunah hai,
YA ALLAH hum chalte phirte, uthte baithte gunah kar rahe hain, padosiyo k haqooq pure nahi kar rahe hain, apne MA-BAAP ka dil dukha rahe hain,
namaz ko jaan kar chodh dete hain, zaqat bhi sahi se nahi nikal rahe hain, YA ALLAH ham sab ka kya hoga yeh hum bhule baithe hain....
A sab k MABOOD hum qabar ki andhergi ko bhula naithe hain, qabar k azab yaad nahi hain,.woh qabar jaha chaar dewar k siwa kuch nahi hoga sirf andhera hi andhera hoga...
YA ALLAH achche amal paas hamare nahi...
YA ALLAH tu AZEEM zaat wala hai, YA SALAMO sare mosalmano k gunah ko maaf karde, YA ALLAH duniya se jo tere musalman bande is duniya se ruksat ho gaye hain aur is duniya mien jo tere musalman bande hain aur jo qayamat tak tere musalman bande aayenge un sab ki apne pyare MEHBOOB MOHAMMAD SALLAL LAHO ALAIHE WASALLAM k sadke maghfirat kar. YA ALLAH jo bimar hain unko tu sehat ata kar, jo muflis hain unko tu doulat ata kar, YA ALLAH hamare gunaho ko na dekh apni ata ko dekh YA RABBUL AA LAMEEN hum sab ki ko bakhsh de..YA ALLAH hum sab ki maghfirat kar de... aye ALLHA humare maa baap ki magfirat karde jin k maa bap zinda hain unko shet wo tandrusti ata farma aur unki umar daraz farma..... AYE ALLHA HUME IMAN PE QATIMA NASEEB FARMA. AYE ALLHA HUME MASLAKE ALLA HAZRATH PE QAIYAM RAK. Chor sahi baad sahi, mujrim sahi nakara sahi hun to tere habib ka ummati. aye mujhe maaf karde. mere gunnahun ko bakash de.
SALLAL LAHO ALA MOHAMMAD SALLAL LAHO ALAIHE WASALLAM.

SARWARE KAUNAIN


Chorus- Sarware Kaunain shahe bahrobar (x3)
Is ghulaame baaraghah par ik nazar
Sarware Kaunain shahe bahrobar (x2)
Is ghulaame baaraghah par ik nazar (x2)

Warta’e bahre hallaqat se bacha (x2)
Multazi hai qalbe mushtar chashmatar (x2)

Chorus

Arz kis muu se karu bulwaiyein (x2)
Mai kaha aur arsh ridwat un ka dar (x2)

Chorus

Mere paighame mohabbat leke jaa (x2)
Ye karam mujh pe saba ik naat kar (x2)

Chorus

Logh kehtehe chalo unke huzur (x2)
Meri haalat ki nahi sabko khabar (x4)
Jis taraah dekhu tere roze ko mai (x2) 
Baarah usiya se jhuka hai mera sar (x4)

Chorus

Mera ehsaas par hai unpar hayaah (x2)
Kyunki rooh tehre talashe naam par (x4)

Chorus

Aasta tosi pe sab masroor hai (x2)
Mere lab kis tarah chume un ka dar (x4)
Mujhko leylo beyga ehsaas chaansesiya (x2)
Zindagi meri na mera apna (x4)

Chorus

Aasta par khudsiyon ka hai wuujuud (x2 )
Un me mai labsina paa aashique kasar (x4)

Chorus

Hausla bakhsha mujhe jaaun kane (x2) 
Muftamar kitna ta un se bekhabar (x4)
Chorus

YA SHAHE BEHROBAR


Ya shahe behrobar ho karam ke nazar(x2)
Sabh ki bigiri banana tera kaam a hai(x2)
(Repeat)

Thokarai khaa ke girna mera kaam  hai(x2)
Har kadam pur uthana tera kaam  hai(x2)
Line2(x2)

Verse 1:
 
Terai kadmo Mei anaa mera kaam a tha (x2)
Meri kismet jagana tera kaam  hai(x3)
Meri ankho ko hai deed ki arazoo (x2)
Rukh sai parda uthana tera kaam hai.(x2)
Sabh ki bigiri banana tera kaam hai

Verse 2:
Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen x2
Terai faizo karam ki to had hi nahin x2
Jin ko duniya mai na koi apna kahen x2
Unko apna banana tera kaam hai
Verse 3:
Baara bat ta hai sultanai kaunain  ka(x2)
Sadka Moula Ali sadka Husnain ka (x3)
Sadka khwaja piya ghause thaklayn-ka (x2)
Hazari hogaye ye be inaam-e-hai.(x2)
Line2(x2)

Verse 4:
 
Merai dil mai teri yaad ka raaj hai (x2)
 
Zehn terai tassawur ka mohtaaj hai.(x2)
Repeat
 
Ek nigaahai karam hi meri laaj hai.(x2)
Laaj meri nibhaana tera kaam hai.(x2)
Line 2(x2)

Verse 5:
Tosha-e-akhirat hai sanakhan ka.(x2)
Zikr karta rahai terai faizan ka.(x3)
Teri naaatein sunnana mera kaam hai.(x2)
Sun kai Taiba bulana tera kaam hai.(x2)
Line 2(x2)

Verse 6:
Saakiya jaan qurban terai jam pur.(x2)
Ho nigaahei karam apnai khudaam pur.(x3)
Chhor di hum nai kashti terai naam pur.(x2)
Abh kinarai lagaana tera kaam hai.(x2)
Line1(x2)

Verse 7:
Faiz jaari tera ta qayamat rahai.(x2)
Teri Nabiyon pai qayam imaamat rahai.(x3)
Teri Mehboob chokat salamat rahai.(x2)
Ganj rehmat lootana tera kaam hai.(x2)
Line2(x2)

Verse 8:
Pesh har aarzoo har tamanna karo.(x2)
Thaamlo Jaaliyan iltijaayai karo.(x3)
Maangnai valo daaman kushada karo.(x2)
Pyarai Akaa ka faizo karam aam hai.(x2)
Line2(X2)

Repeat line 1(x2) & line 2(x3).

SUBA TAIBA MEIN


Chorus:
Allah,Allah,Allah,Allah,Allah,Allah,Allah,Allah
Subh Taiba mein huwee bat-taa hai baara noor kaa(x2) 
Sadqa lene noor kaa aayaa hai taara noor kaa(x2)

Chorus

Baagh Taiba mein suhaana phool phoolaa noor kaa(x2)
Mast buu hai bulbulen parti hai kalima noor kaa

Chorus

Baarahween ke chand ka mujra hai sajdah noor kaa(x2)
Baarah burjon se jhukka aik aik sitaara noor kaa

Chorus 

Tere hi maathe rahan ay jaan saharaa noor kaa(x2)
Bakht jaaga noor ka chamka sitaara noor kaa

Chorus 

Main gadaa tu baadshaah bhar de piyaala noor kaa(x2) 
Noor din duunaa teraa de daal sadqa noor kaa

Chorus 

Taaj waale dekh kar teraa imaama noor kaa(x2)
Sar jhukaa te hai illahi bol baala noor kaa

Chorus 

Chand jhukh jaata jidhar unglee uthaate mahd mai(x2)
Kyaa hi chal taa tha ishaaron par khilona noor kaa

Chorus 

Tere nasl paak mai hai bachcha bachcha noor kaa(x2)
Tu hai ayn e noor teraa sab gharana noor kaa

Chorus